Leopardo

Leopardo

Friday, May 14, 2010

Acha lagta hai

Uske bin chup chap rehna, acha lagta hai,
khamoshi se ek dard ko sehna, acha lagta hai...

Jis hasti ki yaad mein aansu baraste hain,
saamne uske kuch na kehna, acha lagta hai...

Milkar usse bichad na jaye darte rehte hain,
isliye bas dur hi rehna, acha lagta hai...

jee chahe saari khushiyan laakar usko de dun,
uske pyaar mein sab kuch khone, acha lagta hai...

uska milna na milna kismat ki baat hai,
pal pal uski yaad mein rona, acha lagta hai...

uske bina saari khushiyan ajeeb lagti hain,
ro ro kar uski yaad mein sona, acha lagta hai...

Sunday, May 9, 2010

Ek Muddat Se Jise Dekha Nahi,

Ek Muddat Se Jise Dekha Nahi,
Aaj Bhi Woh Zehen Sey Utra Nahi,

Aaj Bhi Woh Toot Kar Aata Hai Yaad,
Aaj Bhi Mein Raat Bhar Sota Nahi,

Aaj Bhi Sach Cha Hun Apne Ishq Mein,
Aaj Bhi Waada Mera Jhoota Nahi,

Aaj Bhi Qaaim Hun Apne Zabt Par,
Aaj Bhi Main Toot Kar Bikhra Nahi,

Aaj Bhi Woh Mera To Hay Magar,
Farq Itna Hai Ke Main Uska Nahi

Manzil-E-Mohabbat Mein Sirf Neend Bhar Ki Duri Thi

Manzil-E-Mohabbat Mein Sirf Neend Bhar Ki Duri Thi
Tuta Bas Mera Ek Khawaab Aur Bharam Toot Gaya,

Mulakaat Aur Judai Mein Sirf Kadam Bhar Ka Waqfa Tha,
Badali Usne Raah Karke Aadaab Aur Bharam Toot Gaya,

Hijr Ke Andheron Me Chaand Bhar Ka Faasla Tha,
Rutha Meri Bhor Ka Aaftaab Aur Bharam Toot Gaya,

Zehen Aur Rooh Mein Ek Soch Bhar Ki Judai Thi,
Jali Yu Zindagi Ki Kitaab Aur Bharam Toot Gaya,

Khiza Aur Baharon Me Ek Mausam Bhar Ki Duri Thi,
Murjhaya Yu Dil Ka Gulaab Aur Bharam Toot Gaya,

Zindagi Aur Maut Me “Lamha” Saans Bhar Ka Faasla Tha,
Jane Se Uske Bikhara Mera Shabaab Aur Bharam Toot Gaya.